Sunday, February 7, 2010

Zindagi....

Log kehte hain maut se bhaari hai zindagi.
Humne to har ek dhang se gujaari hai zindagi.

Jiwan kathin hai kitna ye to bata sakega wahi,
Jisne baha ke khoon sambhaari hai zindagi.

Ro padta hu yaad karke us pal ko ab talak,
Jab usne kaha tha ki tumhari hai zindagi.

Izzat par meri hajaron daag laga diye usne,
Lekin daawa hai fir bhi sambhaari hai zindagi.

Roj bharta hu sindoor uski maang mein,
Fir bhi lagta hai kunwari hai zindagi.

Bata do mujhko...

Katl kar daalo ya faansi pe chada do mujhko.
Jurm kya hai mera jara ye to bata do mujhko.

Main agar sach ki ibaarat hu to pad daalo mujhe,
Aur agar harf-e-galat hu to mita do mujhko.

Yaad aaunga to nam hongi tumhari aankhein,
Isse behtar hai ki bhula do mujhko.

Roushni mujh mein agar hai to jalaaye rakho,
Roushni de na saku to bujha do mujhko.

Sukun-e-dil

Ghar se nikla to sukun-e-dil kahi na mil saka.
Laut aaya main apne ghar saari dunia dekhkar.

Kapkapaate honth uske de rahe the ye sada,
Shayad kuchh kehna chahta hai wo, mujhko tanha dekkar.

Na koi dil ki tamanna hai, na koi apna mukaam,
Fir bhi tumhari bazm mein hum aa gaye jaane kya dekhkar.

Chhod deta hai mujhe tanha andhera dekhkar,
Hamsafar bhi hota hai, saaya ujaala dekhkar.